Channel: Sunny Garewal
Category: Gaming
Tags: player unknown battlegrounds xbox onehistory of blueholepubg funny momentspubg mobilehistory og pubgpubg mobile funny momentsstory of chang han kimplayer unknown battlegrounds gameplayplayer unknown battlegrounds downloadthe secret story of pubghistory of brendan greenestory of brendan greenehistory of chang han kimpubg gameplay
Description: जानिए PUBG की कहनी (हिंदी में) Player Unknown’s Battlegrounds jise PUBG bhi kehte hai, ek bohot he popular game hai. Is game ki shuruat 100 players se hoti hai jinhe kidnap karke ek Russian island mein survive karna hota hai. Players parachute ki madad se plane se jump karte hai apne apne survival ke liye. Pehle bhi humne is game ke jaise movies dekhi hai jiska naam hai Hunger Games aur Battle Royale aur yeh game bhi unhe movie se inspired hai. Brendan Greene jinhe Brendan PlayerUnknown Greene bhi kehte hai, is game ke designer hai. Pehle Brendan koi game designer nahi the balki ek Irish photographer the jinhe thoda bahot web designer aur graphic designer ka kaam aata tha. 2 saal baad unko divorce ho gaya aur is cheez se Brendan kaafi deperessed ho gaye. Deperession ki wajah se Brendan fir se apne ghar Ireland chale gaye. Apne pass time mein Brendan video games khelne lage jisme shaamil the AAA titles jaise ke Call of Duty aur Assassins Creed. Fir baad mein Brendan ne DAYZ game ka he ek mod banaya jiska naam tha DAYZ: Battle Royale. Yeh naya game kaffi popular hua aur isi ko dekhte hue Sony online entertainment jiska naam abh Daybeak company ho gaya hai unhone Brendan ko job offer diya ek game banana ko jo ki ek survival game tha aur who bhi DAYZ se he inspired tha. Who naaya game jo Brendan ne Sony company ke saath milkar banaya tha uska naam tha H1Z1: King of the Kill. Fir Brendan ne Daybreak naam ki company chod de aur February 2016 mein chale aaye South Korea. Waha par Brenden mile ek Korean game designer Chang Han Kim se jo Bluehole name ki game company mein kaame karte the aur battle royale game banana chahte the. Brendan ki team ne din raat mehnat kari aur who chahte the ki game 1 saal ke ander he ban jaye aur saath he saste mein bhi. Finally March 2017 mein game Battlegrounds ko release kiya early acsess ke roop mein Steam pe. Dekhte he dekhte PUBG ki ranking badhti rahi aur bohot saare gamers judte gaye aur yeh best seller game ban gaya. PUBG ne bade bade online games jaise Dota 2, League of Legends aur Counter Strike: Global Offensive (CS: GO) ko bhi hara diya aur aaj is game ke 30 lakh se zaayada active players hai. September 27, ko PUBG corporation ki shuruat hui jo ki Bluehole ki he ek subsidiary company hai aur iska office America mein khola gaya. Aane walay samay mein Europe aur Japan mein bhi office khole jayenge. December 20 ko game full release hua PC aur Xbox pe aur ek naya map bhi add kiya gaya hai PC version mein jo ki ek desert map hai. Aur aane waale samay mein yeh game PS4 par bhi khela ja sakega. March 15th ko Android mein game ka beta program release kiya aur March 16th ko iOS devices mein. Aur finally March 19th ko officially international maket mein release kiya. Aaj popularity itni badh gayi ki PUBG ko baki ke games copy karne lage hai jaise ki Fortnite: Battle Royale, Paladins: Battlegrounds aur Chinese game T2: Judgement Day Battle Royale. Brendan jinhone game design kiya socha nahi tha ki is game mein itna bada potential hai ki badi companies jaise Facebook, Tencent, Epic Games bhi ispe apna paisa laga ayenge. Yeh game itna popular hai ki ESL jise Electronic Sports League kehte hai carodo rupey ke championship tournaments khilata hai jaha par duniya ke ek se badh kar ek gamers aate hai aur ek dusare se compete karte hai. Toh kaise laga aapko hamara yeh video. Comment section mein zaroor bataye. Milte hai agle video mein. ––– Summer's Tides by 🌴Oshóva🌴 soundcloud.com/osh-va Creative Commons — Attribution 3.0 Unported — CC BY 3.0 creativecommons.org/licenses/by/3.0 Music promoted by Audio Library youtu.be/Xz0O1kmglrE –––